Monday, September 29, 2008

Kashti toofan se nikal sakti hai
Shama bujh k bhi jal sakti hai
Mayus na ho irade na badal
Kismat kisi bhi waqt badal sakti hai


Bahar hoti to titliya zrur ati
nami ankho me ho to siskiya zrur ati
log kehte hai ki bahut yad ate ho
mgr yad karte to hichkiya zarur ati


Kagaj ki kasti thi pani ka kinara tha
khelne ki msti thi dil awara tha.
kaha fase is badappan k jal me
isse to apna wo bachpan hi pyara tha.



Teri Awaaz se pyar hai hame
itna izhaar hum kar nahi sakte
hamare liye tu us khuda ki tarah hai
jiska didar hum kar nahi sakte



Lamhe ye suhane sath ho na ho,
kal me aaj jaisi koi baat ho na ho,
aapki Dosti hamesha is Dil me rahegi,
chahe puri umra mulakat ho na ho



Agar Muzse Mohbt Nhi To Rote Kyu Ho
Tanhai Me Mere Bare Me Sochte Q Ho
Agar manzil Judai He To Jane Do Mujhe
Lot K Kab Aaoge Puchte Q Ho?


Ye zindgi ka safar
khatam kab hoga,
Dukho ka ye sailab kum
kab hoga,
Thak chuke hai hum
tanha safar me
jeet lu har bazi Ye
mumkin kab h0ga?


Maa Ki 1 Dua Zindgi Bana Degi
Khud Royegi Magar Apko Hasa Degi
Kabhi Bhool Kar Bhi Maa Ko Na RULANA
1 Choti Si Baddua puri Dharti hila Degi



Mangi thi dua maine Rubse
Dena jo alag ho sabse
Mila diya humko tumse
aur kaha Sambhalo ise
Ye ANMOL he sabse


In haseeno se kafan acha hai
jo mrte dam tak sath jata hai
ye to zinda logon se mukh mod leti hai
kafan to murdo se b lipat jata hai



Galti se pyar kar baithe nadan the
Uski aadat aur fitrat se anjan the
Waqt ne hame khilona bana diya
Varna hum bi mehfilo ki shaan the


Waqt ki ho dhup ya ho tej Aandhiya
ko6 kadmo k nishan kabi nai khote
Jinhe yaad kerke muskura de aankhe
Vo log dur hokar b dur nai hote.

No comments: