Sunday, October 26, 2008

mat intzar karao humse itna ki
waqt ke fasle pe tumko bhi afsos ho jaye
kal kya pata tum laut ke aao
aur hum khamosh ho jaye


har pal me apne dil ko tham leta hu
jub bhi tera me naam leta hu
kho jata hu me un yado me
jub kisi k pyar ka nazrose salam leta hu


Dariya wafaoo ka kabi rukta nhi
Mohabat me insaan kbi jukta nhi
Hum chupHe kisiki khushiKe liye
Or wo sochte he dil hamara dukhta nahi

Sharart na hoti shikayat na hoti
Naino Me kisi ki Nazakat na hoti
Na hoti Bekarari na hote huM Tanha
Jo Jahan Me KaMbakht ye Mohabat na hoti


pyar ki kasti thi
faaslo pe kinara tha
manzil meri thi
or sirf unka sahara tha
ruswaie ki aise aandhi chali k
Na saahil na kinara tha..


Apne karam se wo mera muqaddar bna gae
Ek katre ko palMe samandar bna gae
Fulo se narm tha kbi dil ye mera
Itna tadpaya k patthar bna gya



Teri har baat yaad hai hamein,
tu bhi hamein yaad rakhna.
vaade yaad rakhna ya na rakhna,
par dosti ka ye meetha safar yaad rakhna


Kbhi fursat mile to chale ana,
tujhe apne dil k zkham dikhayenge,
kya beeti h tum bin iss dil pr,
ye mere ansu tujhe batayenge..


Yahi wafa ka sila hai to koi baat nahi
Ye dard tumne diya to koi baat nahi
Majal ki koi kahe mujhe diwana
Agar ye tumne kaha to koi baat nhi



Hoton Pe Aate Ho Baat Bankar,
Dil Me Aate Ho Yad Bankar,
Aakhon Me Aate Ho $apna Bankar,
Ho $ake To Zindgi Me Rehna $achhe DO$T Bankar.


Kisi ko pyar karna nahi aata,
kisi ko pyar k siwa kuch nahi aata,
bas yahi do raste hai jindagi ke,
Ek Unhe Nahi Aata Ek Hame Nahi Aata



Roshni Ke Liye Diya Jalta Hai
Shama Ke Liye Parwana Jalta Hai
Koi Dost Na Ho To Dil Jalta Hai
Dost Agar Aap Jaisa Ho To Zamana Jalta Hai


Jinki Yad Me Hm Sara Jahan BhuL Gye
Suna He Wo Hmara Naam Tak BhuL Gye
Kasam Khai Jisne Sath Nibhane Ki
Wo Aaj Hmare Liye Hi Anjan Bn Gye


Tu Yad Bahut Aayi Hr Sham K Bad
Kbi Aagaz Se Pehle to Kabi Anjam K Bad
Is Dubte Suraj Ki kasam Is Dil Pe
Koi Nam Nhi Likha Tere Nam K Bad


Narm palko k saye me chupalu tumko
ji krta he jahanse churalu tumko
he khauf ki rahNa jye tanha sanse
bachi SansoKi khusbu meBasaLu tumko

No comments: