Tuesday, September 30, 2008

Bhula kr hame wo khush reh payenge
Sath nai 2 mere bad muskuraynge
Dua hi khuda se mere dost kabi dard na dena
hum to seh gaye wo tut jayeng



Shikwa nahi koi zindagi se
Magar ek shikayat khuda se zarur hai
Jazbaat kyun diye tune hame
Jab duniya me pyaar karna kasoor hai.



Sirf Itna Hi Kaha Hai Pyar Hai Tumse,
Jazbato Ki Koi Numayish Nahi Ki,
Pyar Ke Badle Sirf Pyar Manga Hai,
Rishte Ki To Koi Guzarish nahi ki.



Khali sheeshe bhi nishan rakhte hai
tute hue dil bhi armaan rakhte hai

jo khamoshi se guzar jaye
wo dariya bhi dil me toofan rakhte hai
Kisi khusnseeb ki takdir ho tum
khwabo se saji tasvir ho tum
aur kya kahe tumhari shan me
kisi k hatho ki sabse khubsurat lakir ho tum


Har mod ka koi mukam nhi hota
har rishte ka koi nam nhi hota
dil k roshni se dunda hai apko
warna aap jaisa dost milna asan nhi hota.


Ban sahara be-saharo ke liye
Ban kinara be-kinaro ke liye
Jo jeeye apne liye to kya jeeye
Jee sakke to jee hazaro ke liye



Guzre Huwe Waqt Ki Yaad Aati
Hai
Meri Aankhe Ashqon Se Bhar Aati
Hai
Khushi Gum Ban Jati Hai
Jab Aap Jaise Dost Ki Yaad Aati
Hai



HAme itna pyar mat karna ki
duniya me mashhoor ho jaye
aur na hi itna bewafa banana.....ki
hum duniya ko chhodne k liye majboor ho jaye

Monday, September 29, 2008

Itna hi Yad Rkhna Muje
Jese Kisi Kitab me
Bite Dino k Dost ka
1 Khat Pra hua Mile
Lafz Mite-2 Sahi
Rang Ura Ura sa ho
Lekin wo Ajnabi na ho.



Hum To Saath Saath Chaltey Hain
Rastey Bewafa Badaltey Hain
Tera Chehra Hai Jab Se Ankhon Main
Meri Ankhon Se Log Jaltey Hain



Ye Gum K Pyale Hme De Do
Hm Gumo Ka Samunder Liye Baithe H
Hme Bas Tere PYAR Ki Kami H
Waise To Hm Duniya K SIKANDER Bane Baithe H



Socha Tha Muskraenge Rone Ke Baad
Phir Wo Mil Jayenge Khone Ke Baad
Ye Sapna Hai Mera Toot Jayega Ek Din
Jo Aata Hai Har Raat Sone Ke Baad


Aapse khafa ho k hm jayenge kahan?
Aap sa sathi hm payenge kahan?
Dilko to kaise b samjha lenge hm
Lekin Aankho k aansu chupayenge kahan


Kitnon Ki Takdeer Badlni Hai Tumhe
Kitno Ko Rasto Pe Lana Hai Tumhe
Apni Hath Ki Lakiro Ko Mat Dekho
In Lakiro Se Aage Jana Hai Tumhe



Humne Bhi kisi ko pasand kiya tha
Raho me khade unka intezar kiya tha
Fark itna tha ki pyar woh humse nahi
Hum unse karthe HAI.



Mere Aanso Mere Ander Girte Hai
Jaise Darya Beach Samandar Girte Hai
Teri Yaadein Wo Tufaan Uthati Hai
Aik Aik Kar Ke Sare Manzer Girte Hai



Dosti karna hai to hum se karna,
kuch kahna hai to hum se kahna!
Jab dil ki baat zubaan pe na aaye.
Aankhen jhuka lena kuch na kahna.



Khuda Na kare Ki Kisi Ke Dil tute,
aur wo dard se karahane lage,
chand me dag isliye hua Ki shayad,
dharti ka koi aashiq use chahne na lage
Humne Tumko paa ke kho diya..
Tumne humko satake kho diya...
Jiye bhi To jiye kiske liye hum..
Zindagi ko gale lagaa ke kho diya


Kafi waqt laga hume aap tak aane me,
Kafi fariyad ki khuda se apko pane me,
Ye dil tod k mat jaiyega
Humne to umar gujar di apko pane me
Kashti toofan se nikal sakti hai
Shama bujh k bhi jal sakti hai
Mayus na ho irade na badal
Kismat kisi bhi waqt badal sakti hai


Bahar hoti to titliya zrur ati
nami ankho me ho to siskiya zrur ati
log kehte hai ki bahut yad ate ho
mgr yad karte to hichkiya zarur ati


Kagaj ki kasti thi pani ka kinara tha
khelne ki msti thi dil awara tha.
kaha fase is badappan k jal me
isse to apna wo bachpan hi pyara tha.



Teri Awaaz se pyar hai hame
itna izhaar hum kar nahi sakte
hamare liye tu us khuda ki tarah hai
jiska didar hum kar nahi sakte



Lamhe ye suhane sath ho na ho,
kal me aaj jaisi koi baat ho na ho,
aapki Dosti hamesha is Dil me rahegi,
chahe puri umra mulakat ho na ho



Agar Muzse Mohbt Nhi To Rote Kyu Ho
Tanhai Me Mere Bare Me Sochte Q Ho
Agar manzil Judai He To Jane Do Mujhe
Lot K Kab Aaoge Puchte Q Ho?


Ye zindgi ka safar
khatam kab hoga,
Dukho ka ye sailab kum
kab hoga,
Thak chuke hai hum
tanha safar me
jeet lu har bazi Ye
mumkin kab h0ga?


Maa Ki 1 Dua Zindgi Bana Degi
Khud Royegi Magar Apko Hasa Degi
Kabhi Bhool Kar Bhi Maa Ko Na RULANA
1 Choti Si Baddua puri Dharti hila Degi



Mangi thi dua maine Rubse
Dena jo alag ho sabse
Mila diya humko tumse
aur kaha Sambhalo ise
Ye ANMOL he sabse


In haseeno se kafan acha hai
jo mrte dam tak sath jata hai
ye to zinda logon se mukh mod leti hai
kafan to murdo se b lipat jata hai



Galti se pyar kar baithe nadan the
Uski aadat aur fitrat se anjan the
Waqt ne hame khilona bana diya
Varna hum bi mehfilo ki shaan the


Waqt ki ho dhup ya ho tej Aandhiya
ko6 kadmo k nishan kabi nai khote
Jinhe yaad kerke muskura de aankhe
Vo log dur hokar b dur nai hote.
Khuda jane pyar ka dastur kya hota hai
Jise hum chahte hai wahi humse dur hota hai
Kehte hai k milte nahi zamin-asman
Fir kyu asman zamin par hi fida hota hai.


Is dosti ka andaz kuch aisa hai..
kya Bataun yeh Raj kaisa Hai..
kon kehta hai K aap chand jaise ho
sach to yeh hai k chand aap k jaisa hai.


Phoolo ki wadi me ho basera tera
Sitaro ke angan me ho ghar tera
Dua hai 1 Dost ki Dost ke liye
Ki mujhse bhi khubsurat naseeb ho tera


Hum Agar Khushi Se Mare, To Tumhe Paa Kar,
Agar Gum Se Mare, To Tumhe Kho Kar Marenge,
Gum Hoga Na Koi Duniya Se Jane Ka,
Jaise Bhi Mare, TERE Ho Kar Marenge.



Itna pyar n karo k bigad jaye hum
thoda data b karo k sudhar jye hum
Agar ho jaye koi khata to ho jana khafa
pr itna b nahi k mar jaye hum


Aankho me kyun aansu jhalak jaate hai.
Tanhaiyon me kyun gum yaad aate hai.
Aansu pochkar koi yeh bata de hame,
dur rehane wale aksar kyun yaad aate hai



Me hi Thaam saku Haath UNKA,
Mujhpe itni Ibadat si kar de,
Wo reh na paye ek pal bhi hamare bina,
Ae Khuda tu UNKO bhi meri aadat si kar de.



Hum khamosh the to mjboor samajh lia
hum chup the to garoor samajh lia
Bus yahi galti thi apki,
hum itne karib the aapke
fir bhi aapne hume door samajh lia.


Mohabbat bhi kya cheez hoti hai,
Magar yeh bhi kisi-kisi ko naseeb hoti hai,
Pakad leta hai jo daaman iska,
Samjho maut uske kareeb hoti hai.



Chahat to aaj bhi utni hai unki
pr kismt k haatho mzboor ho gye
dekhi jo unme apne liye berukhi
hm unki khushi k liye khud hi unse door ho gye..



Yaaro peene k liye mat kehna
Hum unki aankhon se pee kar aaye hain
Ab maut bhi aa jaye gam nahi
Hum do pal jee kar aaye hain.



Koi shayar
koi deewana aashiq
koi aapke pyar me pagal kehta hai
Tum hi bata do sanam
kya koi aur hai aapki zindgime
jo humse bhi jyada aapse pyar karta hai.



Kya batau mera hai haal kaisa
Ek din guzarta hai ek saal jaisa
Tadapta hoon is kadar bewafaayi me uski
Yeh tan bante jaa raha hai kankaal jaisa
KYA GILA KARE UNSE HUM BEWAFAYI KA
HUM KHUD HI LAYE THE MAUSAM TANHAYI KA
WOH TOH MEELON DUR THI HUMSE
HUM HI PICHA KARTE RAHE UNKI PARCHAYI KA


areb thi uski hasi,hum ishq smjh baithe
Maut ko apni zindagi smjh baithe
Ye waqt ka majak tha ya badnasibi meri
Jo unki channd baaton ko mohabbat smjh baithe


Koi aisa na mila jispe dil luta dete
her 1 ne diya dhoka kis-2 ko bhula dete
apne dil ka dard dil me hi dabaye rakha
karte bayan to mehfil ko hi rula dete.



raaz dil ka dil m chupate hai wo
samne ate hi nazar jhukate h wo
baat karte nahi ya hoti nahi
par phir bi jb milte hai muskrate he wo



Ye sach hai
mohhabat ki kismat buri hoti hai
hr mulaqat judaai se judi hoti hai
Kabhi waqt mile to rishton ko parakhna
dosti hr rishte se badi hoti hai


Phulon ki taarif to sab karte hai
badi mushkil se log kaanton par gaur karte hai
Maali to sirf naam ke hote hai.
Phulon ki hifazat to kaante hi karte hai.



Aapko dekhne ki hasrat si ho gayi hai
is kadar milne ki chahat si ho gayi hai
chahe aapka sms aaye ya na aaye
Mobile utha kar dekhne ki aadat si ho gayi hai



Din beet jate hai yaade suhani bankar
baate reh jati hai kahani bankar
par dost to hamesha dil k karib rehte hai
kabhi muskan to kabhi ankhon ka pani ban kar.



Uski doli ke bhi 4 kinare honge
meri arthi ke bhi 4 kinare honge
phool us par bhi barsenge
phool mujh par bhi barsenge
log uske liye bhi royenge
log mere liye bhi royenge
bus fark itne hoga
uska kisi ko intzar hoga
aur hamara antim sanskar hoga


Yaad na karoge toh bhula bhi na sakoge
mera khayal dil se mita bhi na sakoge
ek baar jo tum mere gum dekh lo
toh phir saari zindagi muskura bi na sakoge..


Gulshan ka har khwab baharo me kaid hai..
Lagta hai dariya bhi kinaro me kaid hai..
Ab uski yaado se nikla nahi jata..
Koi hai jo dil ki diwaro me kaid hai..



Lafzo k tarah dil k kitab m milege
Ya banke khushbu apko gulab m milege
Milne k liye humse zara theek se sona
aaj hum apse khuwab me milege.


Khamosh palkho se Behkar jab Aansu Aate Hai
Aap kiya Jano Aap Kitne Yaad Aate Hai
hum Aaj bhi Us Mod pe khade Hai
Jaha Aapne Kaha tha Thaihro Hum Abhi Aate Hai.



Dua h aap hamesha muskurana.
aankho me kabhi nami mat lana. Zindgi
ki rahon m kuch kaante biche honge.
hum haath rakh denge aap nikal jana.